Saturday 20 July 2013

DOSTI & LOVE


                                                 DOSTI SHAYARI


Daulat Aur Sohrat sabke Pas Hai,
Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai,
Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai,
Par Khush-naseeb Hai Hum kyonki Tum Jaisa Dost Hamare Pas me hai...



Pyar Karnewalon ki kismat kharab hoti hai,
Har waqt inteha ki ghadi sath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena,
Dosti har rishtey se lajawab hoti hai


Suna hai asar hota hai baaton mein, 
Aap bhi bhul jaoge Do-Chaar mulakaton mein,
Lekin humse bachkar kahan jaoge,

 Aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein

Aapki dosti ki ek nazar chahiye; Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost; Yeh Dosti hume umar bhar chahiye


Dosti ke mayne hamse kya puchte ho,
Hum abhi in baton se anjaan hain,
Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame,
Kyonki aapki dosti hi hamari jaan hai.


Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya,
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya.


Ajnabi galiyon se hum gujra nahi karte,
dard-e-dil liya aur diya nahi karte,
Ye dosti ka rishta sirf tum se hai,
varna itni baaten hum kisise kiya nahi karte.


Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai.


Dil mein ek shor ho raha hai, bina baaton k dil bore ho raha hai,
Kahin aisa tho nahin ke ek pyara sa dost, mujhse door ho raha hai.
                                                                                      








No comments:

Post a Comment