Wednesday 7 August 2013

MAA KI MAMTA

DHARTI KE BINA LOG ADHURE HAI,
LOGON KE BINA SANSAR ADHURA HAI.
SHABD KE BINA BOL ADHURA HAI,
GAANE KE BINA SANGEET ADHURA HAI.
PYAAS KE BINA JAL ADHURA HAI,
JEENE KE BINA MARNA ADHURA HAI.
DIL KE BINA PYAAR ADHURA HAI,
DUKH KE BINA SUKH ADHURA HAI.
AANSOON  KE BINA RONA ADHURA HAI,
LADKE KE BINA LADKI ADHURI HAI.
MAA KE BINA SANTAN ADHURI HAI,
MAA KE BINA SANSAR ADHURA HA.
AUR KYA KAHOON  MAA KE MAMTA AUR AASHIRWAD KE BINA HAR KAAM ADHURA HAI.




"Jab Tu Paida Hua Kitna Majboor Tha,
Yeh Jahaan Teri Sochon Se Bhi Door Tha.
Haath Paaon Bhi Tab Tere Apne Na They,
Teri Ankhon Main Duniya K Sapne Na They.
Tujh Ko Aata Sirf Ronaa Hi Tha,
Doodh Pee Ke Kaam Tera Sona Hi Tha.
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri,
Tujh Ko Dil Main Basaaya Tha Maa Ne Teri.
Maa Ke Saaye Main Parwaan Charne Lagaa,
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Lagaa.
Ahista Ahista Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya,
Tujh Pe Saraa Jahaan Meharban Ho Gaya.
Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga,
Khood He Sajne Lagaa Khud He Sanwaarne Laga.
Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayi,
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Aa gayi.
Apne Farz Se Tu Door Hone Lagaa,
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bone Lagaa.
Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Lagaa,
Teer Baaton Ke Phir Tu Chalaane Laga.
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Lagaa,
Kaayda Ik Naya Tu Phir Padne Laga.
Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ik Din,
Abh Hamaara Guzaara Nahi Tere Bin.
Sunn Ke Yeh Baat Tu Taish Main aa gaya,
Tera Gussa Teri Akal Ko Khaa Gaya.
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha,
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha.
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chod Do,
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do.
Jao Jaa Ke Kahin Kaam Dhanda Karo,
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Jaa Maro.
Baith Kar Aahain Bharti Thi Maa Raat Bhar,
Inki Aahon Ka Tujh Par Hua Na Asar.
Ek Din Baap tera Chalaa Rooth Kar,
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar.
Phir Woh Bhi Bas kaal Ko Bulati Rahi,
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi.
Ek Din Maut Ko Bhi Taras Aa gaya,
Iska Ronaa Bhi Taqdeer Ko Bhaa Gaya.
Ashk Ankhon Main They Woh Rawaana Hui,
Maut Ki ek Hichki Bahaana Hui.
Ek Sukoon Us ke Chehre Pe Chhaane Lagaa,
Phir Tu Maiyat Ko Uski Sajaane Lagaa.
Muddatain Ho Gayi Aaj Buddha Hai Tu,
Tooti Khatiya Pe Padha Budha Hai Tu.
Tere Bache Bhi Abh Tujh Se Darte Nahi,
Nafrate Hain, Muhabbat Woh Karte Nahi .....

No comments:

Post a Comment